Ek din,
Jab kuch sochte huye
aasmaan ki taraf sar uthaya,
ek taare ko apni taraf dekhke muskuraata paaya.
Jhund mein bhi akela taara.
Thoda chanchal, thoda gumsum taara.
Mujhe chhedta hua,
mujhse baaten karta taara.
Us din ke baad
main jab bhi akeli hoti,
uski taraf dekh usi se baaten karti.
Pata nahi woh meri awaaz sun bhi raha tha, ya nahi.
Ek din jab haath badha kar use chhoona chaaha,
kho gaya mera taara.
Bahot dhoondne par bhi nahi mila
mera anmol taara.
Bhaari mann se jab sar jhukaya,
zameen par kuch chamakta paaya.
Chhote chhote kaanch jaise tukde
chaaron taraf bikhre huye the.
Ek pal ke baad ehsaas hua,
ki woh kaanch nahi, mere taare ke tukde the.
Jo mujhse milne ke liye, apna ghar chhod aaya tha.
Aur mujhe milne ka sapna tod aaya tha.
Uske tukdon ko apne haathon se sameta.
Aur palat ke aasman ki taraf na dekha dobaara.
Is tarah ek ho gaye,
main aur mera taara.
Comments
By the way, its too good... it reminded me of old days...I wish I would have collected all my poems..
I miss them...:(